KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai
yani mujhe KHud meri talab DhunD rahi hai
dil rakhte hain aaina-e-dil DhunD rahe hain
ye us ki talab hai ki wahi KHud-talbi hai
taswir mein aankhen hain ki aankhon mein hai taswir
ojhal ho nigahon se to bas dil pe bani hai
din bhar to phire shahr mein hum KHak uDate
ab raat hui chand sitaron se Thani hai
hain us ki tarah sard ye bijli ke sutun bhi
raushan hain magar aag kahan dil mein lagi hai
phir zehn ki galiyon mein sada gunji hai koi
phir soch rahe hain kahin aawaz suni hai
phir ruh ke kaghaz pe khinchi hai koi taswir
hai wahm ki ye shakl kahin dekhi hui hai
katrae to hum lakh rah-e-wahshat-e-dil se
kanon mein salasil ki sada gunj rahi hai
baqar' mujhe fursat nahin shorida-sari ki
kandhon pe mere sar hai ki ek dard-sari hai
Ghazal
KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai
Sajjad Baqar Rizvi