KHwahish-e-jada-e-rahat se nikalta kaise
dil mera ku-e-malamat se nikalta kaise
saya-e-wahm-o-guman chaar taraf phaila hai
main abhi karb-o-aziyyat se nikalta kaise
meri ruswai agar sath na deti mera
yun sar-e-bazm main izzat se nikalta kaise
meri nazren jo na paDtin to wahan pichhli shab
ek sitara sa teri chhat se nikalta kaise
main ki barbaad hua did ki KHatir jis ki
wo mere dida-e-hairat se nikalta kaise
us ke dam hi se to qaem hai mera jah-o-jalal
wo mere dil ki hukumat se nikalta kaise
jag baiTha hun to dil Duba nahin hai 'aKHtar'
soya rahta to musibat se nikalta kaise
Ghazal
KHwahish-e-jada-e-rahat se nikalta kaise
Akhtar Shumar