KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae
aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jae
rassi laTak rahi hai gale ko na bhench le
KHanjar chamak raha hai badan mein utar na jae
munh phaDti hain ghar ki daraDen idhar udhar
ek qahqaha ki jaise faza mein bikhar na jae
kyun us ke sath hi na raha jae chand roz
jo aadmi ki raat mein bhi apne ghar na jae
kya jaane baat kya hai ki rukta nahin koi
kab se pukarta hun ki koi udhar na jae
kaise phir apne aap ko zinda kahunga main
ek aur shaKHs mujh mein hai shamil wo mar na jae
jis ko ki urf-e-am mein kahte hain zindagi
ye nashsha apne waqt se pahle utar na jae
Ghazal
KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae
Atiiqullah