KHwab mein manzar rah jata hai
takiye par sar rah jata hai
aa paDti hai jhil aankhon mein
hath mein patthar rah jata hai
rose kisi hairat ka dhabba
aaine par rah jata hai
dil mein basne wala ek din
jeb ke andar rah jata hai
nadiya par milne ka wada
mez ke upar rah jata hai
sal guzar jata hai sara
aur calender rah jata hai
aangan ki KHwahish mein koi
baam ke upar rah jata hai
lag jati hai naw us par
aur samundar rah jata hai
ruKHsat hote hote koi
darwaze par rah jata hai
Ghazal
KHwab mein manzar rah jata hai
Sarfraz Zahid