KHwab aankhon ki gali chhoD ke jaane nikle
hum idhar nind ki diwar girane nikle
dhul raste ka muqaddar hai to rasta kya hai
bas yahi baat zamane ko batane nikle
jab pahaDon se mili dad hunar ki apne
dastan hum bhi samundar ko sunane nikle
rang se rang juda hone ka manzar dekha
tirgi aur shafaq sirf bahane nikle
jab samundar pe chale hum to ye sahra chup the
ab pahaDi pe khaDe hain to bulane nikle
aasman jis ki zamin hai wo parinda hun main
jaane kyun log yahan dam bichhane nikle
koi chehra na de aawaz kisi lau se 'matin'
sham hote hi charaghon ko bujhane nikle
Ghazal
KHwab aankhon ki gali chhoD ke jaane nikle
Ghayas Mateen