KHun bahane ke hain hazar tariq
rang lane ke hain hazar tariq
kaba-o-dair par nahin mauquf
us yagane ke hain hazar tariq
koi mazhab nahin zamane ka
is purane ke hain hazar tariq
uzr-e-masti o mai-parasti kya
bhul jaane ke hain hazar tariq
dil-sitani ke saikDon andaz
dil satane ke hain hazar tariq
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
dil-lagi dil-dahi dil-arami
dil lubhane ke hain hazar tariq
dil mushabbak hua to farmaya
aane jaane ke hain hazar tariq
kis tariqe se ho nibah 'bayan'
ki zamane ke hain hazar tariq
Ghazal
KHun bahane ke hain hazar tariq
Bayan Meeruti