اردو हिंदी
KHuban jo pahante hain nipaT tang choliyan | Shaahi Shayari
KHuban jo pahante hain nipaT tang choliyan

Ghazal

KHuban jo pahante hain nipaT tang choliyan

Taban Abdul Hai

;

KHuban jo pahante hain nipaT tang choliyan
un ki sajon ko dekh maren kyun na loliyan

honTon mein jam rahi hai tere aaj kyun dhari
bheji thin kis ne raat ko panon ki Dholiyan

jis din se ankhDiyan teri us ko nazar paDin
baadam ne KHajil ho phir aankhen na kholiyan

tare nahin falak pe tumhaare nisar ko
laya hai motiyon se ye bhar bhar ke jholiyan

sumbul ko pech-o-tab ajab tarah ki hui
zulfen jab un ne ja ke gulistan mein kholiyan

gulshan mein bahsne ko tumhaare dahan ke sath
khola tha munh ko kaliyon ne par kuchh na boliyan

taban qafas mein aaj hain we bulbulen KHamosh
karti thin kal jo bagh mein gul se kiloliyan