KHushk ho jae na jharne wala
ab ke talab hai bharne wala
jism par nam na likhna apna
ye hai miTTi mein utarne wala
mar kar dekh liya hai us ko
hum se marta nahin marne wala
ab to aahaT bhi nahin aati hai
yun guzarta hai guzarne wala
is liye jhil mein halchal hai bahut
ek jazira hai ubharne wala
ho raha hai pas-e-diwar bhi kuchh
jaane kya karta hai karne wala
aap hi aap chalata hai hawa
aap hi aap bikharne wala
kashtiyan par lagen ya na lagen
ab ye dariya hai utarne wala
kaun jaega sar-e-koh-e-nida
shahr ka shahr hai Darne wala
Ghazal
KHushk ho jae na jharne wala
Prem Kumar Nazar