KHushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya
hawas ki tez aanch ko bujha bujha ke pi gaya
nazar ke sagaron mein jo bhari thi tu ne arghawan
teri hasin aankh se chura chura ke pi gaya
nasihaton ke darmiyan jo tak rahi thi jam ko
usi nigah-e-bad se main bacha bacha ke pi gaya
mili jo tere hath se to ho gaya nasha do-chand
raqib-e-ru-siyah ko dikha dikha ke pi gaya
qalil bhi mili kabhi to ki isi pe iktifa
baDhi hui talab ko main daba daba ke pi gaya
jhuki jhuki nigah mein hazar kaif-o-mastiyan
usi nigah-e-naz ko uTha uTha ke pi gaya
falak pe kali badliyan qarib-e-ruh-e-dilkashi
piyale se piyale ko mila mila ke pi gaya

Ghazal
KHushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya
Sartaj Alam Abidi