KHushi ki mili ye saza rafta rafta
taaruf ghamon se hua rafta rafta
thi chehre ki rangat to nazron ke aage
chala rang dil ka pata rafta rafta
bhalai kiye ja yaqin rab pe rakh kar
wo deta hai sab ko sila rafta rafta
suni bhuke bachche ne jab man ki lori
to ro ro ke wo so gaya rafta rafta
tere bin bhi kaT jaegi umr lekin
chhuDa apna daman zara rafta rafta
nazar jo mili dil hua rakh jal kar
dhuan phir usi se uTha rafta rafta
chaman mein khilin hanste hanste jo kaliyan
to KHushbu se mahki faza rafta rafta
na ghabrao 'mona' pareshaniyon se
asar laegi har dua rafta rafta
Ghazal
KHushi ki mili ye saza rafta rafta
Elizabeth Kurian Mona