KHushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamari baat aur
koi agar jafa kare nahin hai kuchh gila mujhe
kisi ki baat aur hai tumhaari baat aur
huzur sun bhi lijiye chhoD kar ke jaiye
zara si baat aur hai zara si baat aur
qita rubai aur nazm KHub-tar sahih magar
ghazal ki baat aur hai ghazal ki baat aur
zaban se 'taban' mat kaho nazar se iltija karo
zaban ki baat aur hai nazar ki baat aur
Ghazal
KHushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
Anwar Taban