اردو हिंदी
KHushbu sandal aur na gahna dukh dega | Shaahi Shayari
KHushbu sandal aur na gahna dukh dega

Ghazal

KHushbu sandal aur na gahna dukh dega

Ishrat Afreen

;

KHushbu sandal aur na gahna dukh dega
ek jaisa dukh sahte rahna dukh dega

Darti kyun hai aankhen teri achchhi hain
lekin in ka chup chup bahna dukh dega

jo hum donon ne mil-jul kar jhele the
wo dukh tera tanha sahna dukh dega

jis ne hum ko aangan aangan banT diya
ab to us diwar ka Dhahna dukh dega