KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai
wo aatish-e-sayyal jo sine mein bhari hai
baada-talbi shauq ki daryuza-gari hai
sad-shukr ki taqdir hi yan tishna-labi hai
ghunchon ke chaTakne ka saman dil mein abhi hai
milne mein jo uTh uTh ke nazar un ki jhuki hai
ab zabt se kah de ki ye ruKHsat ki ghaDi hai
ai wahshat-e-gham der se kya soch rahi hai
masum hai yaad un ki bhaTak jae na rasta
KHun-gashta tamannaon ki kyun bhiD lagi hai
yaadon se kaho sola-singar aaj karaen
aaina-ba-kaf hasrat-e-didar khaDi hai
lab si liye andesha-e-dushnam-e-jahan se
ab apni KHamoshi hi ek afsana bani hai
Thahri hai to ek chehre pe Thahri rahi barson
bhaTki hai to phir aankh bhaTakti hi rahi hai
Ghazal
KHushbu hai kabhi gul hai kabhi shama kabhi hai
Waheed Akhtar