KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai
kaun gaya hai ab tak lawn akela hai
kyun aahaT par chaukun main kis ko dekhun
be-dastak hi aaya jab wo aaya hai
khuli kitaben samne rakkhe baiThi hun
dhundle dhundle lafzon mein ek chehra hai
raat dariche tak aa kar ruk jati hai
band aankhon mein us ka chehra rahta hai
aawazon se KHali kirnen phaili hain
KHamoshi mein chand bhi tanha jalta hai
jaane kaun se raste pe kho jae wo
shahr mein bhi aasebon ka Dar rahta hai
Ghazal
KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai
Fatima Hasan