KHusha wo bagh mahakti ho jis mein bu teri
KHusha wo dasht ki ho jis mein justuju teri
KHamosh hai magar ek aalam-e-takallum hai
labon pe ghunche ke goya hai guftugu teri
jigar bhi chaak hua dil bhi para-para hua
lagi hui hai magar dil se aarzu teri
muqabil ruKH-e-zeba na hona ai gul-e-tar
kahin na KHak mein mil jae aabru teri
asir-e-sahn-e-gulistan nahin dil-arai
shamim-e-lutf dil-afza hai ku-ba-ku teri
tariq-e-ahl-e-nazar mein hai mana yaksui
zi-bas-ki jalwa-firozi hai chaar-su teri
hanuz dasht-e-KHutan nafa-zar-e-alam hai
kabhi khuli thi udhar zulf-e-mushk-bu teri
farishta-e-ajal aae pari ke qalib mein
ba-waqt-e-marg jo surat ho ru-ba-ru teri
umid-e-lutf pe 'hasrat' hai bagh-e-rizwan mein
suna hai jab se ki lutf-o-karam hai KHu teri

Ghazal
KHusha wo bagh mahakti ho jis mein bu teri
Hasrat Sharvani