KHush-jamalon ki yaad aati hai 
be-misalon ki yaad aati hai 
bais-e-rashk mehr-o-mah the jo 
un hilalon ki yaad aati hai 
jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal 
un ghazalon ki yaad aati hai 
sadgi la-jawab hai jin ki 
un sawalon ki yaad aati hai
        Ghazal
KHush-jamalon ki yaad aati hai
Sikandar Ali Wajd

