KHush hun kab dil ki dastan kah kar
kya milega yahan wahan kah kar
mani kya de diye hain lafzon ko
dastan-go ne dastan kah kar
wusat-e-be-karan ko hum hi ne
sar chaDhaya hai aasman kah kar
hum ne sach-much guman bana Dala
har yaqin ko guman guman kah kar
main ne rutba diya hai sheron ko
dil-e-hassas ka dhuan kah kar

Ghazal
KHush hun kab dil ki dastan kah kar
Om Krishn Rahat