اردو हिंदी
KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae | Shaahi Shayari
KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae

Ghazal

KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae

Noman Farooq

;

KHumar-e-tishna-labi mein ye kaam kar aae
hum apni pyas ko dariya ke nam kar aae

tumhaare lams ka sandal mahakne wala hai
KHabar ye hum bhi daraKHton mein aam kar aae

use gale se lagana to KHwab Thahra hai
yahi bahut hai jo us se kalam kar aae

tumhaari yaad ki chhanw mein din guzara hai
tumhaare zikr ke sae mein sham kar aae

kuchh aur ho na saka hum se is jahan mein magar
yahi bahut hai mohabbat mein nam kar aae