khulta nahin ki hum mein KHizan-dida kaun hai
aasudgi ke bab mein ranjida kaun hai
aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh
ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai
dekhun jo aaina to ghunuda dikhai dun
main KHwab mein nahin to ye KHwabida kaun hai
amboh-e-ahl-e-zaKHm to kab ka guzar chuka
ab rahguzar pe KHak mein ghaltida kaun hai
ai karb-na-rasai kabhi ye to ghaur kar
mere siwa yahan tera girwida kaun hai
har shaKHs dusre ki malamat ka hai shikar
aaKHir yahan kisi ka pasandida kaun hai
to azm-e-tark-e-ishq pe qaem to hai magar
tujh mein ye chand roz se larzida kaun hai
Ghazal
Khulta nahin ki hum mein KHizan-dida kaun hai
Azm Bahzad