khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain
samundaron ke kinaron pe ret ke ghar hain
na koi khiDki na darwaza wapsi ke liye
makan-e-KHwab mein jaane ke saikDon dar hain
gulab Tahni se TuTa zamin par na gira
karishme tez hawa ke samajh se bahar hain
koi baDa hai na chhoTa sarab sab ka hai
sabhi hain pyas ke mare sabhi barabar hain
husain-ibn-e-ali karbala ko jate hain
magar ye log abhi tak gharon ke andar hain
Ghazal
Khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain
Shahryar