KHudaya kash tujhi ko gawah kar lete
nigah-e-KHalq se bach kar gunah kar lete
hayat KHud hi mere dard ki pasban hoti
urus-e-marg se ek din jo chah kar lete
falak na rahta na ru-e-zamin ki rangini
tumhaare jaur-o-sitam par jo aah kar lete
na karte jabr kisi par bhi log phir shayad
jo iKHtiyar pe apne nigah kar lete
gadagari ke to ilzam se bache rahte
hum apne sar pe agar kaj-kulah kar lete
hamari fikr ka thoDa sa to sila milta
jo ahl-e-bazm hi kuchh wah wah kar lete
nibah lete zamane se hum bhi mar-khap kar
jo aap 'asar' ke dil mein na rah kar lete

Ghazal
KHudaya kash tujhi ko gawah kar lete
Mohammad Naqi Rizvi Asr