KHudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di
laga kar mohr-e-KHamoshi mere munh mein zaban rakh di
jo puchho dil se shai tum ne kahan ai mehrban rakh di
baDi naKHwat se kahte hain jahan chahi wahan rakh di
kisi ke jaur-e-behad par bhi jab KHamosh rahna tha
to phir kyun ai KHuda tu ne mere munh mein zaban rakh di
mohabbat ka nishan tak bhi zamane mein nahin milta
uTha kar chiz ye ai aasman tu ne kahan rakh di
kahan tak hadsat-e-barq-o-baran se rahun KHaif
KHuda ka nam le kar main ne tarah-e-ashiyan rakh di

Ghazal
KHudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di
Sahir Siyalkoti