اردو हिंदी
KHuda ne kis shahar andar haman ko lae Dala hai | Shaahi Shayari
KHuda ne kis shahar andar haman ko lae Dala hai

Ghazal

KHuda ne kis shahar andar haman ko lae Dala hai

Pandit Chandr Bhan Barahman

;

KHuda ne kis shahar andar haman ko lae Dala hai
na dilbar hai na saqi hai na shisha hai na pyala hai

piya ke nanw ki simran kiya chahun karun kis sin
na tasbih hai na simran hai na kanThi hai na mala hai

KHuban ke bagh mein raunaq hue to kis tarah yaran
na dona hai na marwa hai na sausan hai na lala hai

piyan ke nanw aashiq kun qatl ajab dekhe
na barchhi hai na karchhi hai na KHanjar hai na bhaala hai

'barahman' waste ashnan ke phirta hai bagiyan sin
na ganga hai na jamuna hai na naddi hai na nala hai