KHud se niklun to alag ek saman hota hai
aur gahrai mein utrun to dhuan hota hai
itni pechidgi nikli hai yahan hone mein
ab koi chiz na hone ka guman hota hai
ek tasalsul ki riwayat hai hawa se mansub
KHak par us ka amin aab-e-rawan hota hai
sab sawalon ke jawab ek se ho sakte hain
ho to sakte hain magar aisa kahan hota hai
sath rah kar bhi ye ek dusre se Darte hain
ek basti mein alag sab ka makan hota hai
kya ajab raaz hai hota hai wo KHamosh 'malal'
jis pe hone ka koi raaz ayan hota hai
Ghazal
KHud se niklun to alag ek saman hota hai
Sagheer Malal