KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum
yani har haal ki haalat se guzar jaenge hum
aalam-e-wusat-e-imkan nazar aaega hamein
yani har duri o qurbat se guzar jaenge hum
KHatm ho jaegi sab kashmakash-e-harf-o-adad
yani har manfi o musbat se guzar jaenge hum
na makan hoga wajud aur na zaman hoga adam
yani har tangi o wusat se guzar jaenge hum
aalam-e-hu dil-e-bina ko nazar aaega
hasrat o wahshat o hairat se guzar jaenge hum
Ghazal
KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum
Meer Ahmad Naved