KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap
KHwab sharminda-e-tabir kiye ja chup-chap
KHama-e-ranj-o-alam se ranj-e-kam-maegi par
nusrat-e-jawedan tahrir kiye ja chup-chap
ye amal bais-e-taskin-e-junun bhi hoga
jazba-e-ishq ki tamir kiye ja chup-chap
gham-e-dauran ki aziyyat bhi to dil sahta hai
gham-e-jaanan ko bhi jagir kiye ja chup-chap
zaKHm gahre to ba-zid shauq mere karta raha
us masihai ki tadbir kiye ja chup-chap
maqsad-e-zindagi khulta hi chala jaega
apne dil mein use taswir kiye ja chup-chap
shairi se hai 'KHayal' us ko shaghaf sheron mein
apne jazbaat ko tasKHir kiye ja chup-chap

Ghazal
KHud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap
Rafique Khayal