KHud ko mumtaz banane ki dili-KHwahish mein
dushman-e-jaan se mili meri ana sazish mein
ruh raushan na hui aur na dil hi bahla
waqt barbaad kiya jism ki aaraish mein
aaj makus hai aaina-e-ayyam-e-jahan
nim mein rang-e-hina zor-e-tapish barish mein
KHud ko minnat-kash-e-qismat na karo dida-waro
gulshan-e-shauq ugana hai tumhein aatish mein
dast-basta hai sahar shab ki ijazat ke liye
ab ke KHuddar tabiat na rahi tabish mein
pasti-e-fikr-o-nazar wahshat-e-asrar-o-rumuz
ho raha hai ba-KHuda jahl fuzun danish mein
qabza-e-waqt mein jugnu hai sitara ki sharar
hum faqiron ka bhala hoga na aalaish mein
bandh le apni girah mein ye nasihat 'rahi'
zabt se kaam le naKHun na baDha KHarish mein
Ghazal
KHud ko mumtaz banane ki dili-KHwahish mein
Rahi Fidai