KHud dekh KHudi ko o KHud-ara
pahchan KHuda ko bhi KHuda-ra
tirchhi ye nigah hai ki aara
har juzw-e-jigar hai para para
dekhenge buton ki hum kaji ko
sidha hai agar KHuda hamara
kyun maut ke aasare pe jite
ai zist hamein to tu ne mara
allah-re dil ki be-qarari
khata hi nahin kahin sahaara
jaan deni hai meri aazmaish
dildari hai imtihan tumhaara
tufan hai josh-e-tishna-kaami
dariya bhi to kar gaya kinara
shirini-e-jaan ki kab khuli qadar
jab zahr hua hamein gawara
har shaKH pe aashiyan hai larzan
is bagh mein ho chuka guzara
gardish ka 'qalaq' ki dekhna auj
har qatra-e-KHun bana sitara
Ghazal
KHud dekh KHudi ko o KHud-ara
Ghulam Maula Qalaq