KHud apni KHwahishen KHak-e-badan mein bone ko
mera wajud tarasta hai mere hone ko
ye dekhna hai ki bari meri kab aaegi
khaDa hun sahil-e-dariya pe lab bhigone ko
abhi se kya rakhen aankhon pe sare din ka hisab
abhi to raat paDi hai ye bojh Dhone ko
na koi takiya-e-gham hai na koi chadar-e-KHwab
hamein ye kaun sa bistar mila hai sone ko
wo dur tha to bahut hasraten thin pane ki
wo mil gaya hai to ji chahta hai khone ko

Ghazal
KHud apni KHwahishen KHak-e-badan mein bone ko
Salim Saleem