اردو हिंदी
KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna | Shaahi Shayari
KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna

Ghazal

KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna

Mohammad Aslam Khan Aslam

;

KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna
ki hum ne chhoD diya ghar mein aaina rakhna

kisi ke peD ka saya na aa sake ghar mein
gharon ke bich mein itna to fasla rakhna

tamam umr hi chahe uDan mein guzre
parai shaKH pe hargiz na ghonsla rakhna

meri nazar bhi andheron se ub sakti hai
koi charagh to yaro jala hua rakhna

lo tum bhi shauq se 'aslam' se ehtiyat rakho
hamein bhi aa gaya apnon se fasla rakhna