KHud aap-apni zad mein sitam-gar bhi aaega
tum muntazir raho ki ye manzar bhi aaega
is ret ke nagar ko na ghabrao dekh kar
aage baDho ki ek samundar bhi aaega
KHushbu ka qafila ye bahaaron ka silsila
pahuncha hai shahr tak to mere ghar bhi aaega
chalte ho mere sath to itna bhi soch lo
rahon mein meri gham ka samundar bhi aaega
maqtal ko ja raha hun ye 'mansur' soch kar
chhinTa koi lahu ka to un par bhi aaega
Ghazal
KHud aap-apni zad mein sitam-gar bhi aaega
Mansoor Usmani