khoTon ko bhi khara batana paDta hai
duniya ka dastur nibhana paDta hai
asar waqt ka chehre pe dikhlane ko
aaine ko aage aana paDta hai
apni aankhen maren na bhuki is KHatir
kuchh chehron ko rose kamana paDta hai
jism-nagar ke par jo kachchi basti hai
is ke aage mera Thikana paDta hai
main mera main ne mujh se ki changul se
KHud ko aksar khinch ke lana paDta hai
ek chehre ko chhune ki KHatir 'fani'
yaadon ka ambar lagana paDta hai

Ghazal
KhoTon ko bhi khara batana paDta hai
Fani Jodhpuri