اردو हिंदी
KhoTa to kya wo naqd khara hai ki hae hae | Shaahi Shayari
khoTa to kya wo naqd khara hai ki hae hae

Ghazal

KhoTa to kya wo naqd khara hai ki hae hae

Bismil Saeedi

;

khoTa to kya wo naqd khara hai ki hae hae
wo na-sira bhi aaj sira hai ki hae hae

kin marhalon mein qafila gum ho ke rah gaya
kis samt se sada-e-dara hai ki hae hae

kya log hain ye log jahan kya jahan hai ye
kya karwan hai kya ye sira hai ki hae hae

uDta hai us hawa se ba-qadr-e-nafas jo hai
taswir mein wo rang bhara hai ki hae hae

naghma sune to jaan ke nauha laraz uThe
kitna ye dil ghamon se Dara hai ki hae hae

kya dil ka sath tar-e-rabab-e-nashat den
kis dard se ye naghma-sara hai ki hae hae

dosh-e-wajud par mere is zindagi ki lash
kya nagawar bojh dhara hai ki hae hae

'bismil' ka ranj dil se bhulaya na jaega
kis bekasi ki maut mara hai ki hae hae