khoT ki mala jhuT jaTaen apne apne dhyan
apna apna mandir mimbar apne rab bhagwan
ghar jaane ki koi duji rah nikali jae
aan ke rah mein baiTh gaya hai ek jogi anjaan
zaKHmi suraj zahr mein bhigi lo pyase panchhi
TuTi bikhri hijr-gali mein kuchh shaKHen be-jaan
apne dukh ka ghunT gala aur yar ke aansu oDh
un aankhon ke dard se baDh kar kya hoga nuqsan
siski ko bahla lena hichki ko sahlana
umr ganwa kar milta hai ye fan mere nadan
KHamoshi ki kaThinai mein chup ki bipta mein
us aawaz ka shahd ghule to mil jae nirwan
jaana dekh aana kuchh rang abhi bahta hoga
shahr ke chaurahe mein kal ek KHwab hua qurban
unche niche daen baen miTTi ke Tile
aashaon ke sard badan bhitar ka qabristan
aayat aayat nur ka paikar harf harf mahkar
do 'simab' sifat honTon par thi sura rahman
Ghazal
KhoT ki mala jhuT jaTaen apne apne dhyan
seemab zafar