اردو हिंदी
Kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui | Shaahi Shayari
kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui

Ghazal

Kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui

Jaleel Manikpuri

;

kho ke dil mera tumhein na-haq pashemani hui
tum se nadani hui ya mujh se nadani hui

allah allah phuT nikla rang chahat ka meri
zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui

hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein
teri surat hai azal se jaani-pahchani hui

ai saba main aur kya dun qabr-e-majnun ke liye
KHak thoDi si chaDha dena meri chhani hui

yar ke hathon hua jo kuchh hua ai tegh-e-naz
teri uryani hui ya meri qurbani hui

kar gai diwangi hum ko bari har jurm se
chaak-damani se apni chaak-damani hui

baDh di banki adaon ne jo KHanjar ko 'jalil'
zabh karne mein mere qatil ko aasani hui