kho ke dekha tha pa ke dekh liya
har tarah dil dikha ke dekh liya
phir khule ibtida-e-ishq ke bab
us ne phir muskura ke dekh liya
yaad kuchh bhi raha na us ke siwa
hum ne us ko bhula ke dekh liya
zindagi ne KHushi ke dhoke mein
rabt gham se baDha ke dekh liya
aise bichhDe ki phir mile na kabhi
KHub daman chhuDa ke dekh liya
KHwab mubham KHayal be-mani
ranj-e-duri uTha ke dekh liya
kitne bite dinon ka gham tha 'sahar'
aaj jis ne rula ke dekh liya
Ghazal
Kho ke dekha tha pa ke dekh liya
Abu Mohammad Sahar