KHizar kya hum to is jine mein bazi sab se jite hain
dam ab ukta gaya allahu-akbar kab se jite hain
samajh le qasidon ne kuchh to aisi hi KHabar di hai
kahen kya tujh se ai naseh ki jis matlab se jite hain
kisi haalat na hum se baDh sakegi raat furqat ki
ki hum bazi siyah-baKHti mein bhi is shab se jite hain
dam apna ghuT ke kab ka hijr-e-jaanan mein nikal jata
madad-gari-e-shor-e-nara-e-yarab se jite hain
ise bawar kar ai gham-KHwar kab ke mar gae hote
payam-e-wasl jab se sun liya hai tab se jite hain
zaban qabu mein hai sunne ko tashbihen sune jao
nazakat mein kahan auraq-e-gul us lab se jite hain
abas daryaft karte ho sabab is saKHt-jaani ka
KHuda jaane ki hum ai 'shad' kis matlab se jite hain
Ghazal
KHizar kya hum to is jine mein bazi sab se jite hain
Shad Azimabadi