KHirad-amoz hasti hai magar ab kya kahun wo bhi
ki ban jati hai diwanon ki duniya mein junun wo bhi
sawal ek be-murawwat se talab aisi ki kya kahiye
hum apni zindagi se mangte hain aur sukun wo bhi
buton ke sath li di si jo yaad-allah baqi hai
to kya shaiKH-e-haram tere liye main chhoD dun wo bhi
riya-kari ke sajde shaiKH le baiThenge masjid ko
kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi
dhara kya hai jo hum se yaad-e-mazi le ke jaegi
jab aa jati hai to do ghunT pi leti hai KHun wo bhi
gae sab walwale sari umiden ho gain ruKHsat
bachi hai zindagi baqi to ab main kya karun wo bhi
nirali baat duniya-e-dani mein kaun si hoti
yahan to didani hai aur mera haal-e-zabun wo bhi
musibat zindagi ki kis ke ghar ab sar chhupaegi
ajal itni ijazat de ki main leta chalun wo bhi
mohabbat ho to ho bhi jae sar-bar chashm-e-pur-fan se
abhi se kya kahun 'natiq' fusun ye bhi fusun wo bhi
Ghazal
KHirad-amoz hasti hai magar ab kya kahun wo bhi
Natiq Gulavthi