khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya 
hae re shauq-e-shahadat main taDap kar rah gaya 
milte milte rah gai aankh us ki chashm-e-mast se 
hote hote lab-ba-lab saghar se saghar rah gaya 
aap hi se be-KHabar koi raha wade ki shab 
kya KHabar kis ki baghal mein kab wo dilbar rah gaya 
le liya main ne kinara shauq mein yun dafatan 
shoKHiyan bhula wo KHalwat mein jhijak kar rah gaya 
tujh se qatil kah diya tha dil ka ye arman hai 
dekh le aaKHir mere sine mein KHanjar rah gaya 
muddaton se sina-e-bismil hai jis qatil ka ghar 
kya hua dil mein agar aaj us ka KHanjar rah gaya 
chal diye hosh-o-KHirad to mai-kashon ke chal diye 
rah gaya han mai-kade mein daur-e-saghar rah gaya 
saKHt KHajlat hogi dekh ai shauq-e-uryani mujhe 
aaj agar ek tar bhi baqi badan par rah gaya 
kaun kahta hai makan-e-ghair par tum kyun rah gae 
arz to ye hai ki raste mein mera ghar rah gaya 
parsai shaiKH-sahab ki dhari rah jaegi 
dast-e-saqi mein agar dam-bhar bhi saghar rah gaya 
jis ke aane ki KHushi mein kal se warafta the tum 
aaj bhi aate hi aate wo sitamgar rah gaya
 
        Ghazal
Khinch kar talwar jab tark-e-sitamgar rah gaya
Anwari Jahan Begum Hijab

