khiDkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich
baT gae pariwar aaKHir sainkaDon KHanon ke bich
mujh ko duniya jaan leti thi kisi ke nam se
waqiye gum ho gae hain jaise afsanon ke bich
main hun chhoTa tu baDa hoga main kaise man lun
ab yahi charcha hai apnon aur beganon ke bich
ek taraf tark-e-talluq ek taraf hai us ki yaad
hai kahan aasan guzarna aise tufanon ke bich
kho diya har shaKHs ne binai ka radd-e-amal
ek chuTki dhup hi phenki thi diwanon ke bich
Ghazal
KhiDkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich
Moni Gopal Tapish