kheton ke beach phul ke bistar ke aas-pas
mausam to aa ke baiTh mere ghar ke aas-pas
be-qaid-o-rang kaundti rangin machhliyan
dekhi hain main ne ganw ke pokhar ke aas-pas
ye kya hua ki aaj bahut tez dhup hai
saya mila na shaKH-e-tanawar ke aas-pas
sarson ke kisht-zar mein aisa laga ki hun
fitrat ki chhinT-dar si chadar ke aas-pas
mujh ko na sath-e-ab pe kuchh bhi mila 'asar'
ghota laga ke pahuncha hun gauhar ke aas-pas

Ghazal
Kheton ke beach phul ke bistar ke aas-pas
Marghoob Asar Fatmi