KHayal usi ki taraf bar bar jata hai
mere safar ki thakan kaun utar jata hai
ye us ka apna tariqa hai dan karne ka
wo jis se shart lagata hai haar jata hai
ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya
main jit jata hun bazi wo mar jata hai
main apni nind dawaon se qarz leta hun
ye qarz KHwab mein koi utar jata hai
nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shamil
wo jab bhi milta hai ek Dank mar jata hai
main sab ke waste karta hun kuchh na kuchh 'nazmi'
jahan jahan bhi mera iKHtiyar jata hai
Ghazal
KHayal usi ki taraf bar bar jata hai
Akhtar Nazmi