اردو हिंदी
KHayal-o-KHwab se niklun zuhur tak dekhun | Shaahi Shayari
KHayal-o-KHwab se niklun zuhur tak dekhun

Ghazal

KHayal-o-KHwab se niklun zuhur tak dekhun

Khalid Jamal

;

KHayal-o-KHwab se niklun zuhur tak dekhun
safar ke daere toDun ubur tak dekhun

mere liye hain ye haft-asman-o-haft-zamin
to kis liye tere jalwe main tur tak dekhun

samajh saka hun tujhe bas shuur ki had tak
ye fikr hai ki tujhe la-shuur tak dekhun

ragen chaTaKH gain rishton ki shorishen kaisi
sada lahu ki jo aae to dur tak dekhun

ulajh na jaun kahin reshmi KHayalon mein
tera 'jamal' pas-e-rang-o-nur tak dekhun