KHayal-o-KHwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho
musafirat mein raho aur ghar bhi sath rakho
ajab nahin ki shahadat talab kare manzil
karo paDaw to gard-e-safar bhi sath rakho
zar-o-guhar se bhi banti hain qamaten lekin
koi saliqa-e-arz-e-hunar bhi sath rakho
hum aise log pas-e-guftugu bhi jaante hain
hamein milo to KHulus-e-nazar bhi sath rakho
kuchh is liye bhi wo sailab bhej deta hai
ki bastiyon mein raho aur khanDar bhi sath rakho
kaDi hai dhup to KHwabon mein hi sahi 'razmi'
hari ruton ke ghanere shajar bhi sath rakho
Ghazal
KHayal-o-KHwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho
Khadim Razmi