اردو हिंदी
KHayal-o-KHwab ko parwaz deta rahta hun | Shaahi Shayari
KHayal-o-KHwab ko parwaz deta rahta hun

Ghazal

KHayal-o-KHwab ko parwaz deta rahta hun

Faiyyaz Rashk

;

KHayal-o-KHwab ko parwaz deta rahta hun
main apne aap ko aawaz deta rahta hun

jo un ko rakhega duniya mein surKH-ru kar ke
main apne bachchon ko wo raaz deta rahta hun

main chheDta hun sada shairi ke taron ko
aur apne fan se koi saz deta rahta hun

palaT ke aaenge ek din zarur achchhe din
main apne taur to aawaz deta rahta hun

jhula ke haal ko aksar zaban ke jhule mein
gham-e-jahan ko mein andaz deta rahta hun

laga ke sine se 'fayyaz' us ke paikar ko
ghazal ko har ghaDi eazaz deta rahta hun