KHatm har achchha bura ho jaega
ek din sab kuchh fana ho jaega
kya pata tha dekhna us ki taraf
hadisa itna baDa ho jaega
muddaton se band darwaza koi
dastaken dene se wa ho jaega
hai abhi tak us ke aane ka yaqin
jaise koi moajiza ho jaega
muskura kar dekh lete ho mujhe
is tarah kya haq ada ho jaega
kash ho jao mere ham-rah tum
warna koi dusra ho jaega
kal ka wada aur is bohran mein?
jaane kal duniya mein kya ho jaega
rang laega shahidon ka lahu
zulm jab had se siwa ho jaega
aap ka kuchh bhi na jaega 'shuur'
hum gharibon ka bhala ho jaega
Ghazal
KHatm har achchha bura ho jaega
Anwar Shuoor