KHatar hawa-e-muKHalif ka darmiyan mein tha
magar parinda magan apni hi uDan mein tha
hamara jurm to yaksan tha par giraft ke baad
wo shaKHs ho ke na ho main to imtihan mein tha
hamein hamari zaban mein saza sunai gai
magar qusur likha jaane kis zaban mein tha
tamam shahr pe ghaalib tha dhup ka lashkar
fasil-e-shahr ke bahar main saeban mein tha
watan-paraston ne tariKH hi badal Dali
nahin to zikr hamara bhi dastan mein tha
mae musafir-o-mallah naw Dub gai
'nawaz' naqs rakha jaise baadban mein tha
Ghazal
KHatar hawa-e-muKhaalif ka darmiyan mein tha
Nawaz Asimi