اردو हिंदी
KHata anjam ho kar rah gaya hai | Shaahi Shayari
KHata anjam ho kar rah gaya hai

Ghazal

KHata anjam ho kar rah gaya hai

Laxmi Narayan Farigh

;

KHata anjam ho kar rah gaya hai
bashar nakaam ho kar rah gaya hai

tera milna ba-qaid-e-zindagani
KHayal-e-KHam ho kar rah gaya hai

fareb-e-e'tibar-e-sai-e-paiham
mera anjam ho kar rah gaya hai

har ek unwan bayaz-e-arzu ka
tera paigham ho kar rah gaya hai

dil-e-nakaam ka har dagh-e-hasrat
sawad-e-sham ho kar rah gaya hai

wafa ka nam 'farigh' is jahan mein
barae-nam ho kar rah gaya hai