اردو हिंदी
KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat | Shaahi Shayari
KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat

Ghazal

KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat

Basir Sultan Kazmi

;

KHat mein kya kya likhun yaad aati hai har baat pe baat
yahi behtar ki uTha rakhkhun mulaqat pe baat

raat ko kahte hain kal baat karenge din mein
din guzar jae to samjho ki gai raat pe baat

apni baaton ke zamane to hawa-burd hue
ab kiya karte hain hum surat-e-haalat pe baat

log jab milte hain kahte hain koi baat karo
jaise rakkhi hui hoti ho mere hat pe baat

mil na sakne ke bahane unhen aate hain bahut
DhunD lete hain koi hum bhi mulaqat pe baat

dusron ko bhi maza sunne mein aae 'basir'
apne aansu ki nahin kijiye barsat pe baat