KHalwat hui hai anjuman-ara kabhi kabhi
KHamoshiyon ne hum ko pukara kabhi kabhi
le de ke ek saya-e-diwar-e-arzu
deta hai rahrawon ko sahaara kabhi kabhi
kis darja dil-fareb hain jhonke umid ke
ye zindagi hui hai gawara kabhi kabhi
saunpa hai hum ne jis ko har ek lamha-e-hayat
ai kash ho sake wo hamara kabhi kabhi
ai mauj-e-KHush-KHiram zara tez tez chal
banti hai sath-e-ab kinara kabhi kabhi
dast-e-tahi baDhaiye kis ishtiyaq se
TuTa hai shaKH-e-shab se jo tara kabhi kabhi
hadd-e-nazar ke par 'tamannai' kaun hai
mahsus ho raha hai ishaara kabhi kabhi
Ghazal
KHalwat hui hai anjuman-ara kabhi kabhi
Aziz Tamannai